Insane feelings.....
Apni mohabbat ka bas itna hi fasana hai,
rait ki haweli hai aur baarish ka zamana hai,
kya shart-e-mohabbat hai, kya shart-e-zamana hai,
aawaz bhi zakhmi hai aur nagma bhi gaana hai,
uss paar utarne ki ummeed bahut kam hai,
kashti bhi purani hai sur toofan ko bhi aana hai,
samjhe ya na samjhe andaz-e-mohabbat woh,
aaj ek shakhs ko nazron se ek sher bhi sunana hai,
makhboot si ada se koi aaj phir ishq ki zidd par hai,
aaj phir aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai.....

2 Comments:
Har pal me pyaar hai ,
Har lamhe me khushiyaan hai,
Kho do to yaadein hain,
Ji lo to jindagi hai..................
woh chand hai magar aapse pyara to nahi,
shama ka parvane bin gujara to nahi,
mere dil ne suni hai ek mithi si awaaz
kahin aapne hume pukara to nahi......
Post a Comment
<< Home