Yeh shab-e-tanhai.....
yeh shab-e-tanhai,
yeh tanha andheri raatein,
yeh neend ka aankhon se barham sa ho jaana,
yeh sir utha ke arsh-e-jiim ki taraf dekhna,
Goya sitaaron ne bhi jahan basa liya ho jaise,
Dekh ke unhe aakhon ka bhi jhilmil khwabon ke chiraag jalana,
yeh shab-e-tanhai, yeh tanha andheri raatein,
amaavas ke andheron mein timtimate yeh sitaare,
safed abr ke beech kabhi gulposh to kabhi nazar aate,
apni madhim roshni ki sabaa bikherte sitaare,
nilima liye hue arsh ke taj per lagkar, taj ki shobha badate sitaare,
kabhi kabhi inhi sitaaron ke beech talash karti hain tumhe meri aankhen,
aksar mahtaab se chehre ko dekha hai aanchal ke peechhe sharmate,
bhool nahin sakti aankhen woh suhana manzar,
kaash ki preet ki dor se bandhkar tum mujh tak pahunch paate,

daffatan nasiim-e-sahar ka jhonka aaya,
apne sath tumhari khushbu bhi hai saath laya,
chupke se kaha ki tum yahin ho, yahin ho, mere bahut hi kareeb ho,
mujhe jis anamika ki thi talash, tum wohi ho, wohi ho, wohi ho,
jaanta hoon ki tum gair hi sahi,
phir bhi mere apne ho.....
magar khamoshiyaan bhi kya kabhi bolti hain kahin,
par naa jaane kyun phir bhi hain hum muskurate,
ab to bus dil hi dil mein hoti hai tumse baat,
kabhi hum hain ghabraate, to kabhi tum ho sharmaate,

door ufaq par hota hai,
ek aftaab ka aagman,
siyaah amaavas bhi haarkar,
aftaab ko karti hai pranaam,
parvaton ke beech aftaab ki laalima bikhar rahi hai anaayaas,
maano Maa ki ungli pakadkar shishu ke chalne ka ho prayas,
magar yeh kya?
mere gul-e-khwab ko kya hua?
ek kone mein kyun hai pada, subah ki roshni se murjhakar,
mauj-e-samandar bikharti hai jaise, saahil ki chattan se takrakar,
kaash khwab bhi itne sacche naa hote,
kaash ki paraye bhi itne apne naa hote,
pata nahin phir kab aayengi aisi raatein,
aankhon hi aankhon mein jab hongi bahut saari baatein.....
yeh shab-e-tanhai, yeh tanha andheri raatein.....

2 Comments:
simply awesome man . gr8.
@anuj
thanks dear.....
Post a Comment
<< Home